Friday, September 21, 2007


Yeh toh koi baat nahin hui
Bas keh diya, "Waqt kahaan hai?"

Mutthi se fissalte hue waqt ko rokna tha
Yeh toh vaada karne se pehle sochna tha

Mana roti ki daud derr raat khatm hoti hai
Par khwabon ka kya?

Aksar raat bhar vahaan bhi intezar kiya hai
Uske vaadon par aitbaar kiya hai

Par yeh toh koi baat nahin hui
Bas keh diya, "Bachchon si baatein matt karo"

Zid toh tumhari hi thi
Tanhaai mein rulaogi
ke hamesha yaad aaogi

Kyon fir khayaal aata nahin
Bulane par bhi?

Kyon gamm nahin sataata
Tumhara zikr aane par bhi?

Dekho, keh deta hoon
Aaaj raat gar tumhari yaad ki
aahat nahin aayi kamre mein...

Toh sannatte odh ke sona chodd doonga
Main saare rishte todd donga

Naam ka rishta nahin hai ki poochna chodd doonga
ki saath guzzare lamho ko poojna chodd doonga

... Yeh toh koi baat nahin hui.